if (end == -1) Use of Having 3rd form of verb

Sunday, November 4, 2018

Use of Having 3rd form of verb

Use of “Having+3rd form of verb”
(The Perfect Participle)
_______________________
Perfect Participle say murad hai aik aise sorat-e-hal jis main do action ho rahy hon…lakin pehlay pehla action ho or phr dosra..yeh dono action boath he kareeb waqt main hoty hain…yani aik action k sath he jura hua dosra action hota hai…
aisay main hum hamisha “Having+3rd form of verb” ka istemal karty hain…
TV dekh kar main so gya.
Having watched the TV, I slept.
app nay dekha k is fikray main do action huvay hain….lakin pehlay “Past participle” wala action hua hai…”TV dekh kar” us k bad dosra action hua hai “Main so gya”
yeh kah kar tum kya sabit karna chahty ho?
Having said that, what do you want to prove?
app nay dekha k pehlay “kehnay” ka action hua or phir “sabit karnay” ka
Amoman Perfect Participle ki identity…. “likh kar, parh kar, so kar, kha kar” wegaira jasay alfaz hoty hain…. Yani is k akhir main “kar” ka lafz common hai.
wazeh rahay….Perfect Participle app ko “after+ing form of verb” say be confuse kar sakta hai.
School janay k bad wo parhta hai.
After going to school, he studies.
School ja kar wo parhta hai.
Having gone to school, he studies.
bazahir dono fikron main aik jase bat hai…par aik to dono ki Urdu ka fark hai…”School ja kar/School janay k bad” or dosra in k matlab main be fark hai…
School ja kar wo parhta hai….yaha “school janay” or parhnay k action bilkul sath sath ho rahay hain….aik action k foran bad jura hua dosra action ho raha…
jab k
“School janay k bad wo parhta hai”
yahan do actions k honay main kafi dorania hai…pehlay aik action ho raha “school janay” or us k kuch waqt k bad“wo parhta hai” ka action ho raha hai.


Example with sentences

No comments:

Post a Comment